Posts

Showing posts with the label Ma

Ma Ke Kamre Mein

Ma ke kamre mein palang purana Ma ke kamre mein pooja ka kona Ma ke kamre mein sheesha salona Ma ke kamre mein bolne wala pankha Ma ke kamre mein peti aur bakse Ma ke kamre mein lambi aalmari Ma ke kamre mein gulabi deewarin Ma ke kamre mein diwaron par chitrakari Ma ke kamre mein powder ki dibbi Ma ke kamre mein khuli hui khidki Ma ke kamre mein rajai aur chadar Ma ke kamre mein chhipe hue khilone Ma ke kamre mein sab kuchh apna Ma ke kamre mein duniya ek sapna - Rahul